Thursday, December 8, 2011

QUESTION ABOUT AMAL E HAMZAD

UMMAR
Ek bhai ne ye e mail bheji, tab mujhay ehsas hua ke me ne taskhir e hamzad in 8 days wali post me ek buniadi chiz bayan nahin ki.behrhal wo email ye he.

    Assalam-o-Alaikum ummer bhai

    bohot bohot shukria ap ki rehnumai ka...kyun kay ye shaitani amal hai to is ko hisar khainch ker direct perna shro kerna hai without bismillah or durood?or aik cheez kay ap nay amal main likha tha kay muakal bana ker adad nikalnay hain...merey nam kay adad 310 without "ail" add ker kay bantey hain...or jab "ail add kertey hain to ye 6 lafz ban jatey hain...or abjad kay hisab say result different ata hai or huroof per zarab day ker wo 2106 bantey hain...ap ki email say jo bat meri samajh main aaye hai wo ye hai wo ye kay sirf apnay nam hay abjad nikal ker multiply kerna hai...kia ye theek hai?

To tamam bahiyon se guzarish he ke mandarja zel mery reply ko ghor se parhain takay ye amal darust tariqay se kar pain.

 41 adad minus wala tariqa falasfa ka he, iskay ilawa bhi muakil nikalnay ke 3 mustanad tariqay hain, yooniniyon ka tariqa, mashriqin ka tariqa or maghrebin ka tariqa, ap ne ghor kia ho ga ke is amal me muakil banaty waqt in charon tariqon se kam nahin lia gaya or na hi jafar ke kuliy se muakil nikalna he, iski waja ye he ke ap muakil ko nahe bula rahay hamzad ko bula rahay hain tabhi ap sirf nam k haroof se muakil banaty hain wo bhi jumla haroof ko palat kar, or jo parhnay ka triqa he woh jafar se bana he or yahan bhi wahi asool he ke ap muakil ko nahin balke hamzad ko bula rahay hain isliy apnay muakil se taddaad nahin nikalni balke apnay nam se nikalni he isliy 310*3 hoga ap keliy. yeni nam se hi muakil bany ga or nam se hi tadad banay gi.,,,, umid he ke ab ap ko samjh a gai ho g ke me ne blog me q likha tha ke jafr se hamzad ka istakhraj koi nahin janta kam az kam hamary mulk me to nahin qk ye choty choty nukat hi to puranay amilin ne byan nahi kiy or jo murawija tariqay unhon ne har har jaga biyan kiy wo hamzad keliy nahin.


Yeni ke is amal me ap ne kalma "EEL" ke chakar me nahin parna just nam k haroof ko ulta ke agay "EEL" laga ke muakil bana lena he, ab jab ap adaad nikalen gy ke kitni bar parhna he to woh is muakil ke nam se nahin nikalen ge balke apka jo nam he uskay adaad nikalen, or jitnay haroof apkay nam me hain un se zarb day dain tadaad nikal ay gi